Sunday, August 31, 2014

Filled Under:

fabs

9:56 PM

Agar khilaaf hain hone do jaan thodi hai
ye sab dhuaan hai koi aasmaan thodi hai

Lagegi aag to aayenge ghar kai zad mein
yahan pe sirf hamara makan thodi hai

Main janta hun ki dushman bhi kam nahi lekin
hamari tarah hatheli par jaan thodi hai

Hamare muhn sejo nikale vahi sadakat hai
hamare muhn mein tumhari zubaan thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahin honge
kirayedaar hain jati makan thodi hai

Sabhi ka khoon hai shamil yahan ki mitti main
kisi ke baap ka hindustaan thodi hai
(Rahat Indori)

Badan me Khoon Hindustan wala hai
phir bhi kambakht samjhta hai Pakistan wala hai

(Hamza Ashraf-Unknown) 

नदी  में ज़रा सा जोश क्या आ गया
शिकायत समंदर की करने लगा है
(unknown)



आया तो बार-बार संदेशा अमीर का
हमसे मगर हो न सका सौदा ज़मीर का
 
Hum woh Shama nahi joo bujh jain tez hawaoun say 
Ain andhiiyoun say kah doo apnii auqat main rahain

Dur Hi Rakho Apne Siyasati Dao-Pench
Goya Main Kisi Ohde Ka Talabgar Nahi Hun

Sani Nahi Koi Duniya Mein Meri Tikhi Dhar Ka
Main Woh Tez Kalam Hun Talwar Nahi Hun

Nadi ki ghaat par agar siyasi log bas jaayein 
To pyaase log paani ke liye tarash jaayein
Ganimat hai ki mausam par chalti nahi hukumat
Warna saare badal unke kheton mein hi baras jaayein


Parindon ko milegi manzil ek din, yeh failey hue unke par bolte hain
Wahi log rahte hain khamosh aksar,zamane mein jinke hunar bolte hai..
 

0 comments:

Post a Comment

(Tab Widget 1)