Monday, December 3, 2012

Filled Under:

Khalid's Collection

11:08 AM

आया तो बार-बार संदेशा अमीर का
हमसे मगर हो न सका सौदा ज़मीर का
Bade Logo ki Duniya Chhor Kar Aata Rahunga Mai...!!
Kasam Kesi Bhi Ho Sab Tod Kar Aata Rahanga Mai..!!
Bhale Hi Soharto Ki Mai. Sabhi Unchaya Chhu Luuuu..!!
Bula Kar Dekh Lena Dod Kar Aata Rahunga Mai..!!!
(Imran Pratapgarhi)
Kisi ki shokh aur chanchal Adaon ne bulaya hai,
Tumhare ganw ki pagal Hawaon ne bulaya hai.
Hamesha dhundti hain tumko budhe Baap ki ankhen,
Chale aao tumhe Maa ki duwaon ne bualaya hai
(Imran Pratapgarhi)
  falak ko zidd hai jahan bijliyan girane ki...
hame bhi zidd hai wahin pe aashiyana banane ki...
Hum woh Shama nahi joo bugh jain teez hawaoun say 
Ain andhiiyoun say kah doo apnii auqat main rahain

Har Taraf Hai Darinde Abb Duniya Me Kahan Insaan Baki Hai
Kamiyabi Ki Mehfil Me Abbi Meri Pehchaan Baki Hai
 Me Toh Parinda Hun Kis Had Tak Rokhoge Tum Mujhe
abbi Mere Paro Me Kamyabi Ki Udaan Baki Hai


Na kisi ke samne jhukte hain
Na kisi pe zulam karte hain

Zindagi se mohabaat karte hain
Zinda dili se jeete hain



Manzil unhi ko milti hai,
jinke sapno mein jaan hoti hai....
Pankh se kuchh nahin hota,
houslon se udaan hoti hai.....
  



kaat kar zubaa'n meri mujhse keh raha tha zaalim
ab tumhe ijazat hai haal-e-dil sunaney ki


mai akela hi chala tha janib e manzil magar,
log saath aate gae aur kaarwa banta gaya



हैं और भी दुनिया में सुख़नवर बहुत अच्छे कहते हैं केः 
'ग़ालिब' का है अन्दाज़-ए-बयाँ और! 
haiN aur bhi duniya meN suKhanwar bahut achchhe
kahte haiN ke 'Ghalib' kaa hai andaaz-e-bayaaN aur!

(सुख़नवर, suKhanwar = poet) 



तुम तकल्लुफ़ को भी इख़लास समझते हो, 'फ़राज़'
दोस्त होता नहीं हर हाथ मिलाने वाला
tum takalluf ko bhi iKhlaas samajhte ho, 'Faraz'
dost hotaa naheeN har haath milaane waalaa

(Ahmed Faraz)
(तकल्लुफ़ takalluf: formalities, societal norms of behavior) 
(इख़लास iKhlaas: sincere, pure friendship; deep affection)

Dur Hi Rakho Apne Siyasati Dao-Pench
Goya Main Kisi Ohde Ka Talabgar Nahi Hun
Sani Nahi Koi Duniya Mein Meri Tikhi Dhar Ka
Main Woh Tez Kalam Hun Talwar Nahi Hun


Taalim nahi di jaati parindo ko  udaano ki........
woh to khud hi samajh jaatey hain ucchai aasmano ki...



Shola Hun Bharakne Ki Guzarish Nahi Karta
Sach Munh Se Nikal Jata Hai Koshish Nahi Karta

Girti Hui Diwar Ka Hamdard Hun Lekin
Charjte Hue Suraj Ki Parastish Nahi Karta

Mathe K Pasine Ki Mahak Aye To Dekhen
Wo Khun Mere Jism Main Gardish Nahi Karta

Hamdardi-E-Ahbab Se Darta Hun ‘Muzaffar’
Main Zakhm To Rakhta Hun Numaish Nahi Karta

(Muzaffar Warsi)

Nadi ki ghaat par agar siyasi log bas jaayein
To pyaase log paani ke liye tarash jaayein

Ganimat hai ki mausam par chalti nahi hukumat
Warna saare badal unke kheton mein hi baras jaayein




 



0 comments:

Post a Comment

(Tab Widget 1)